Monday, November 16, 2009

Dekhiye

zeest kaisi hai mujh par meherbaan dekhiye,
raqeeb tak puchey hai mera makaan dekhiye

umr bhar raha jinse humein tagaful ka gilaa,
hain wo aaj kis qadar pareshaan dekhiye

hai shama mein zor bas sehar ki dastak talaq,
hum ji rahey hain kaise ye imtehaan dekhiye

umeedon ka humney jahan ik ghar banaya kabhi,
wo gali hai aaj kaisi veeraan dekhiye

2 comments:

  1. raqeeb matlab to guardian type hota hai naa be ..jo dhyaan rakhkhey ...koi dost hai naa raqeeb hai ?? fir raqeeb tak kaise aaye?

    ReplyDelete

 मिल्कियत सारी ये तेरी नज़र करता हूँ , तेरे शहर से कहीं दूर अब मैं घर करता हूँ .....   उजालों के साथी कुछ दूर तलक आये , किसे मालूम अंधेरों मे...