Wednesday, January 19, 2011

jaise

wo aaye to aaye tasavvur mein aise
phool pe oas theherti ho jaise

meri nafas mein wo hai yun shamil
gul mein khushbu basti ho jaise

hon hum duur yun aur paas bhi
falak se zameen milti ho jaise

likha jab bhi husn-o-ishq to yun
gazal uski hi baat karti ho jaise

No comments:

Post a Comment

 मिल्कियत सारी ये तेरी नज़र करता हूँ , तेरे शहर से कहीं दूर अब मैं घर करता हूँ .....   उजालों के साथी कुछ दूर तलक आये , किसे मालूम अंधेरों मे...